Manzil - Destination

Apne Ghar se jald baazi se
Main apni manzil ki aur chalta raha
Manzil tak pochne ke liye muje tezi se chalna tha
Tezi se main chalta raha aur rail station pohoch gaya

Waha kadi uss bheed ko dekh Kar mein murja gaya
Narazgi iss baat ki thi ki muje baitne nai milega
Narazgi iss baat ki thi ki uss bheed mein
Jisme, mera jism ghut tha hai uss se ghuzarna tha

Uss bheed se uss ghutan se 
bina murjaye hue bina apni narazgi wyakt karte
Mein apne manzil pohoch gaya
Ye koi kamyabi nai thi 
Ye toh mere har din ka safar tha

Jab Manzil pohoch gaya tha 
Meri nazar mere jhooto pe gayi 
Phr apne aap pe
Kya yahi meri Manzil hai?

-To the Spirit of Mumbai and it's locals

Comments